Ai Andhere! Dekh Le Munh Tera Kaala Ho Gaya,
Maa Ne Aankhen Khol Di Ghar Mein Ujaala Ho Gaya.

ऐ अँधेरे! देख ले मुँह तेरा काला हो गया,
माँ ने आँखें खोल दीं घर में उजाला हो गया।
Is Tarah Mere Gunahon Ko Wo Dho Deti Hai,
Maa Bahut Gusse Mein Hoti Hai To Ro Deti Hai.

इस तरह मेरे गुनाहों को वो धो देती है,
माँ बहुत ग़ुस्से में होती है तो रो देती है।
Meri Khwahish Hai Ki Main Phir Se Farishta Ho Jaoon,
Maa Se Is Tarah Lipat Jaoon Ki Bachcha Ho Jaoon.

मेरी ख़्वाहिश है कि मैं फिर से फ़रिश्ता हो जाऊँ,
माँ से इस तरह लिपट जाऊँ कि बच्चा हो जाऊँ।
Khud Ko Is Bheed Mein Tanha Nahin Hone Denge,
Maa ! Tujhe Ham Abhi Budha Nahin Hone Denge.

ख़ुद को इस भीड़ में तन्हा नहीं होने देंगे,
माँ ! तुझे हम अभी बूढ़ा नहीं होने देंगे।
Ai Musibat Jara Soch Ke Aa Mere Kareeb,
Kahin Meri Maa Ki Dua Tere Liye Museebat Na Ban Jaaye.

ए मुसीबत जरा सोच के आ मेरे करीब,
कही मेरी माँ की दुआ तेरे लिए मुसीबत ना बन जाये।
Abhi Zinda Hai Maa Meri Mujhe Kuchh Bhi Nahin Hoga,
Main Jab Ghar Se Nikalta Hoon Duaen Bhi Saath Chalti Hain.

अभी ज़िन्दा है माँ मेरी मुझे कु्छ भी नहीं होगा,
मैं जब घर से निकलता हूँ दुआएं भी साथ चलती है।
Kuchh Nahin Hoga To Aanchal Mein Chhupa Legi Mujhe,
Maa ! Kabhi Sar Pe Khuli Chhat Nahin Rahne Degi.

कुछ नहीं होगा तो आँचल में छुपा लेगी मुझे,
माँ ! कभी सर पे खुली छत नहीं रहने देगी।
Din Bhar Ki Mashaqqat Se Badan Choor Hai Lekin,
Maa Ne Mujhe Dekha To Thakaan Bhool Gayi Apni.

दिन भर की मशक़्क़त से बदन चूर है लेकिन
माँ ने मुझे देखा तो थकान भूल गयी अपनी।
Duaen Maa Ki Pahunchane Ko Meelo Meel Jaati Hain,
Ki Jab Parades Jaane Ke Liye Beta Nikalta Hai.
दुआएँ माँ की पहुँचाने को मीलों मील जाती हैं,

कि जब परदेस जाने के लिए बेटा निकलता है।
Hairaan Ho Jaata Hoon Main Aqsar,
Dekhkar Khudaon Ke Dar Pe Hujoom,
Maa, Teri God Mein Mujhe,
Jannat Ka Ehsaas Hota Hai.

हैरान हो जाता हूँ मैं अक़्सर,
देखकर खुदाओं के दर पे हुजूम,
माँ, तेरी गोद में मुझे,
जन्नत का एहसास होता है।

« 3 4 5 6 7 8 »