Do Shabd Tasalli Ke Nahi Milte Is Shahar Mein,
Log Dil Mein Dimaag Liye Ghoomte Hain.
दो शब्द तसल्ली के नहीं मिलते इस शहर में,
लोग दिल में भी दिमाग लिए घूमते हैं।
Har Najar Mein Mumkin Nahin Hai Be-Gunaah Rahna,
Vada Ye Karein Ke Khud Ki Najar Mein Bedaag Rahein.
हर नजर में मुमकिन नहीं है बे-गुनाह रहना,
वादा ये करें कि खुद की नजर में बेदाग रहें।
Khwahishon Ka Mohalla Bahut Bada Hota Hai,
Behtar Hai Ham Jarooraton Ki Gali Mein Mud Jaen.
ख्वाहिशों का मोहल्ला बहुत बड़ा होता है,
बेहतर है हम जरूरतों की गली में मुड़ जाएं।
Siyaasat Ko Lahoo Peene Ki Lat Hai,
Varana Is Mulk Me Sab Khairiyat Hai.
सियासत को लहू पीने की लत है,
वरना इस मुल्क मे सब खैरियत है।
Hajaar Javabon Se Achchhi Hai Khamoshi Meri,
Na Jaane Kitne Sawalon Ki Aabroo Rakhti Hai.
हजार जवाबों से अच्छी है खामोशी मेरी,
ना जाने कितने सवालों की आबरू रखती है।
Najron Mein Doston Ki Jo Itna Kharab Hai,
Uska Qasoor Ye Hai Ke Wo Kaamyab Hai.
नजरों में दोस्तों की जो इतना खराब है,
उसका कसूर ये है कि वो कामयाब है।
Main Ek Shaam Jo Roshan Diya Utha Laya,
Tamam Shahar Kahin Se Hawa Utha Laya.
मैं एक शाम जो रोशन दिया उठा लाया,
तमाम शहर कहीं से हवा उठा लाया।

« 1 2 3 4 5 6 »