Alfaz Ki Shakl Mein Ehsaas Likha Jata Hai

अल्फाज़ की शक्ल में एहसास लिखा जाता है,
यहाँ पर पानी को प्यास लिखा जाता है,
मेरे जज़्बात वाकिफ से है मेरी कलम भी,
प्यार लिखूं तो तेरा नाम लिखा जाता है।
Alfaz Ki Shakl Mein Ehsaas Likha Jata Hai,
Yahah Par Paani Ko Pyaas Likha Jata Hai,
Mere Jazbat Se Wakif Hai Meri Kalam Bhi
Pyar Likhu Toh Tera Naam Likha Jata Hai...


Phir Na Simtegi Mohabbat Jo Bikhar Jayegi

फिर न सिमटेगी मोहब्बत जो बिखर जायेगी,
ज़िंदगी ज़ुल्फ़ नहीं जो फिर संवर जायेगी,
थाम लो हाथ उसका जो प्यार करे तुमसे,
ये ज़िंदगी न मिलेगी जो गुज़र जायेगी।
Phir Na Simtegi Mohabbat Jo Bikhar Jayegi,
Zindgi Zulf Nahi Jo Phir Sanwar Jayegi,
Thaam Lo Uska Haath Jo Pyar Kare Tumse,
Yeh Zindgi Na Milegi Jo Gujar Jayegi..


Naam Uska Jubaan Par Aate Aate Ruk Jata Hai,

नाम उसका ज़ुबान पर आते आते रुक जाता है,
जब कोई मुझसे मेरी आखिरी ख्वाहिश पूछता है।
Naam Uska Jubaan Par Aate Aate Ruk Jata Hai,
Jab Koi Mujhse Meri Aakhiri Khwahish Puchhta Hai.


Yeh Duniya Ek Pal Mein Tumhein Barbaad Kar Degi,

ये दुनिया तुम्हें एक पल में बरबाद कर देगी,
मोहब्बत हो भी जाए तो उसे मशहूर मत करना।
Yeh Duniya Ek Pal Mein Tumhein Barbaad Kar Degi,
Mohabbat Ho Bhi Jaye Toh Usey MashHoor Mat Karna.


Hum Toh Maujood The Raat Mein Ujalon Ki Tarah


हम तो मौजूद थे रात में उजालों की तरह​,
लोग निकले ही नहीं ढूढ़ने वालों की तरह​,
दिल तो क्या हम रूह में भी उतर जाते​,
उस ने चाहा ही नहीं चाहने वालों की तरह​।
Hum Toh Maujood The Raat Mein Ujalon Ki Tarah,
Log Nikle Hi Nahi Dhoodhne Walon Ki Tarah,
Dil Toh Kya Hum Rooh Mein Bhi Utar Jaate,
Usne Chaha Hi Nahi Chahne Walon Ki Tarah....

« 7 8 9 10 11 12 »